Rent Controller, karay ki jaga per stay hasil karna Rent controller se



Rent controller (karaya dari)



Rent a Judge, Stay order on rent property before court

  1. pay rent to court
  2. pay my rent before court
Dear Reader  Ajj hum batt karain ge ke agar app koi property karaya per lete hain jis main dukan , mkan building ya koi bhi property shamil hai . or malik property app ko najaiz tang  karta hai or app se karaya barhane ki demand karta hai ya kisi or ko ziada karaye per dena chahta hai or app ka property per kharcha hoa hai or app ko wapis nahi kia ja raha aise main app kese stay le sakte hain .or agar aap malik makan hain or aap k sath ziadti hoi hai or aap ka tenant rent ada nahi kar raha tu aap read karain .going to court for rent arrears

Stay Order

                  aisi soorat hall main app ko fori rent controller ke pass petition file karni hu gi stay order ki application ke sath . rent controller app ki baat sunnene ke baad app ko stay jari kar de ga or koi malik property ko order jari hu jain ge or case ki baqida karwai shroo hu jai gi

Documents


  1. copy id card karaydar
  2. copy karaya nama (rent agreement)
  3. any other related documents

Procedure


                   iss case shroo hone ke baad property ka malik app ko dhons ya zabardasti nahi nikal  sakta or us ko court main pesh hona pare ga . or jawab dawa dair karna pare ga . or court dono parties ko sun kar aik jaiz faisla kare ge ju ke qanoon ke mutabiq hu ga


High Court or Supreme ke Faisle 


       Maqrara tareekh per karaya  dena karya dar ka faraz hai kraya scurity ki raqam se kata nahi ja sakta

20018 CLC 161

yaktarfa karwai ko khatam karke karaya dar ko maqdma larne ka haq hona chahye.

2018 MLD 162

Question of Title is not relevent before rent controler

2018 YLR 1240

mabain fareekain mahda hoa tha ke koi fareeq rent controler ke pass nahi jai ga iss ke bawajood munasib karya teh karna rent controler ka ikhtiar hai.
  
2018 SCMR 581

Senior civil judge khud bhi case ki smat kar sakta hai (rent ribunal) or kisi dosre ahal judge ko bhi saamat ke liye bhajwa sakta hai

PLD 2018 LAH 390 (9)

Landlord may not be essentially an owner of the property

2018 MLD 1231

tajdeed mahda karya karte waqat ada katda raqam pagri taswar hu gi 

PLJ 2017 L 797

malak makan bv bacho ki zarroorat ke liye karye dar se makan khali karwane ke liye bv bacho ko batoor gwa pesh karne ka paband na hai.


2017 MLD 605 

Malik makan bv bachu ke ilawa apne degar ahal e khana ki zarroora ke liye bhi makan khali karwa sakta hai

2017 MLD 605

jadeed banai dawa per dosri darkhwast bedakhli karyadar dair ki ja sakti hai

2017 YLR 1762

Mushtarka malkiat ki soorat main aik malak ki tarf se kia gia mahda dosre malak per qabal e pabandi na hai
PLJ 2017\L 797

Darkhwasat bedakhli ka faisla 4 mah ke andar karna lazmi hai. 
2017 MLD 53

duran e karya dari mahda bai aor dawa e tameel e mukhtis zair samat hone ki bana per darkhawast bedakhli kharaj na hu gi
2016 CLC 1832

Darkhwast bedakhli bazreea Attorney bhi dair ki ja sakti hai Landlord ki asaltan hazri zaroori na hai.
2016 YLR 293

tahreeri Mahda karya dari ki adam mojodgi main karaya dari ki mudat sirf aik mah taswar hu gi. Aik dafa defaulter hone ki soorat main bad azan karya ada karna bhi karaya dar ko koi faida na de ga.
2016MLD 103
2015 CLC 1187

Mahda karya dari ka tahreeri hona lazam hai
2016 YLR 405


rent controler ke darmiani hukam ke khalaf writ petition na hu sakti hai
2015 CLC663 (b)

Mahda karya dari ya raseed karya dari ki adam mojodgi ki soorat main malak or karayadar ka talaq saabat na hu ga
PLJ 2015 Pesh 121

dawa bedakhli main bazareea cross check rent ki adaigi na hu sakti hai
2015 SCMR 642

Rent controlor ke yaktarfa order mansookh karwane ki mayad 30 din hai
2015CLC 620(b)

rupee ki qadar kam hone ki waja se pagri ki raqam main azafa ka faisla karna bhi rent controler ka farz hai kionke malak ne waqat ke sath karya barha dia tha
2015 YLR 1617

Malak makan ke foat ka ilam hone ke bawajood karyadar malak makan ke nam karya jama karwata raha . aisa karna default ke zumre main aaye ga
2015 YLR 1179

qasdan karya jama na karwane ki soorat main karya dar ko bedakhal kia ja sakta hai 
2015CLC229
2014 YLR 791
2014MLD 1113
2014 CLC 929

karya dar ya us ki jaga karya ada karne ki under taking dene wala shakhas bhi karya dar ya tent ke zumre main aaye ga
2015 MLD 171

Agar karya dar har mah ki 5 tareekh se pehle karya jama na karwai tu us ka haq e dafa khatam kia ja sakta hai
2015MLD 1342

kisi dosre shakhas ki jaga karya wasool karne wala shakhas bhi landlord ke zumre main aata hai.
2015 MLD 171
2015 YLR 1179
2011 MLD 1383

Mahda karya dari ka register hona zaroori hai warna jurmana ada kiye bghair dawa kharaj hu ga

2015 YLR 2045
PLD 2013 SC 775
2013 SCMR 1520

Dawa bedakhli ka faisla karte waqat pagri ka faisla karna bhi rent controler ki zimadari hai
2015 YLR 1617

Ejectment order by rent controler cannot be interfered by civil court
2014 SCMR 1210

Malak ki tarf se karya wasool na karne ki soorat main karya court main jama karwaia ja sakta hai
2014 MLD1084

Cantt ki hadood main punjab karyadari act 2009 ka itlaq na hu ga
2014CLC 832

adaigi karya ko raseedat se saabat na karna bedakhli ki maqool wajh hu gi
2014MLD1012

bowaqat dairy dawa bedakhli agar karyadar foat hu jai ty darkhwast bedakli qabile rawan na hai
20l14 YLR 2598

Agar karya dar court ke hukam ke bawajood agar karya ada na kare tu iss ka haq dafa khatam kar dia jai ga
2014CLC 929

karyedar ko jaidad matdwia main apna koi haq saabat karne ke liye pehle jaidad ko khali karna lazmi hai
2013YLR2714
  
defaulter saabat hone ki soorat main iss se matalq issue frame karna lazam hai
2013CLC 258

Pagri karyadari ko la mahdood nahi kar sakti
2013 SCMR 1520

Dawa bedakhli jurmana jama na karwane ki soorat main kharaj na hu ga jurmana baad main bhi jama karwaia ja sakta hai
2013YLR473
 
Rent ke mamlat main nagrani na hu sakti hai

PLJ 2011 L 745
 
karyadar mahda main tosee ka matalba batoor haq na kar sakta hai
 2011 CLC 765

Malak makan ki ijazat ke bghair amarat main tameer bedakhli ki maqool wajah hai
2010 CLC 819

Tameel ke baad 10 din ke andar andar leave to defend ki darkhwast na dair karna ki soorat main karya dari ka right close hu jai ga
2010 YLR 109
2010 CLC 847

Mahda karyadari karne ki soorat main malak makan or karyadari k rishta se inkar na kia ja sakta hai
PLD 2010 L 281
PLD 2009 L 429

kisi building ki malkiat change karte waqat karyadar ko notice dena lazam na hai
2010 MLD 1988

karya dari ki mudat aik saal se ziada hone ki soorat main karya nama ko register karwana lazm hai
2009 YLR2294

dawa tameel mukhtas ki decree hone ki soorat main karya dar ko ghair qanooni toor pr bedakhal na kia ja sakta hai karya dar nai malik ka karyadar taswar hu ga
2009 MLD 286

karyadar ki tarf se bijli ke bill ki adam adaigi default ke zumre main aati hai
2008CLC 446

Rent controler ki samat per zabta diwani ka itlaq na hota hai
2004 CLC178(b)

mahda karya dari ka register hona lazm na hai
PLD 2003 L 204
  
dehati aalaqa main waqia building karyadari qanoon ka itlaq na hu ga
2002 YLR 1353

malak makan ka barhalf bian ke building bonafide use ke liye chahye durast tasleem hu ga
1997 SCMR 1062

Shahdat qalm band kiye bghair karyadar or malak makan ke rishta ka faisla na kia ja sakta hai
1995 CLC 66

Rent controler ke darmiani ahkamat ke khalaf appeal na hu sakti hai
1998 CLC 298

Mushtarka khata dar karyadar na hu sakta hai
1996CLC 137

karaya dari ke iktam per karya dar property ko achi halat main wapis karne ka zimadar hai
PLD 1995 SC 351




For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp 


 Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights .so we need to your help to achieve our goal . plz tell people about this blog and subscribe our you tube channel and follow us at the end of this post.















































 

























Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation