FIA main Application dene ka Tareeqa (Cyber Crime) and Bahar ke mulak bhejne k nam pr dhoka dene walon k khalaf karwai





Fia main Application dene ka tareeka.


FIA main Application (Cyber Crime) dene ka Tareeqa.

Cyber Crime FIA ka aik department hai. Jahan per aap apne sath hone wali kisi qisam ki ziadti ki application de sakte hain.

Cyber Crime main konse Jurim aate hain.

  1. Agar kisi bande ne aap ke account se raqam nikal li hai.
  2. Agar aap ka koi account hacked hu gia hai.
  3. Ap ki pics kisi ne upload kar dien hain.
  4. Kisi ne koi jali account aap ke nam se bana lia hai.
  5. Kisi ne data chura lia.
  6. Etc
  • Us ke liye sab se pehle ju bhi jiram aap ke sath hoa us ki screen shot bana lian or un ka print nikalwa kar sath lagain.
  • Application aap ne likhni hai
  •   صاحب FIA بخدمت جناب ڈایریکٹر 
  • اس کے بعد بریکٹ میں (سایبر کرائم) لکھنا
  • درخواست براۓ اندراج مقدمہ  " تیسری لائن میں  لکھنا۔
  • جس کے بعد جناب اعلی گزارش ھے لکھ کر تفصیل سے  درخواست لکھنی ھے۔
  • Application ke sath apna bian halfi lagana us ke baad tamam screen shot lagane. Or supporting documents ki copies laga kar jama karwani hai Cyber Crime ke dairy branch main.
  • Or dairy number le lena.ju ke aik slip ki soorat main hu ga us ko gum nahi karna 
  • Application ki copy karwa kar dene se pehle pass rakhni or dairy number bhi sath attach karna.
  • Jiss ke baad inquiry start hi gi or phir FIR daraj hu gi.

FIA Main Application Dena Insani smugglers ke Khalaf

Dear Readers Fia main Application dena police station main application dene se buhat mukhtalf hota hia Ajj hum App ko Insani Smugglers ke khalaf Application dene ka tareeka batate hain

Q : Application kon de sakta hia 

Ans : Appliction wo complainat de sakta hai jo beron Mulak jane ke naam per lota gia hu

Application dene ke liye kin Documents ki zaroorat hoti hai


  1. Copy ID card
  2. Affidavit Raqam ke bare main
  3. Wo documents jin se saabat hota hu ke raqam di gai hai
  4. Account main Transaction karwane ki soorat main saboot
  5. Tumam Documents ki copies sath di jati hain or asal apne pass mahfooz rakhi jati hain magar application asal di jati hai magar iss ki copy apne pass rakhi jati hai gharz ke app ne jo bhi jama karwaia hai us ki copy app ke pass mojod honi chahiye 
  6. Do Gawah

Procedure

Tamam Documents le kar Fia main jate hian or  wahan per moojod amla se pooch kar us mulazam ko application di jati hai Jo iss ko register karta hia
Us FIA mulazam    se  Application ka Dairi number le lete hain

Inquery

iss application ki 3 mah inquery hoti hai or iss ke baad FIR darj hoti hai. iss inquery ke duran app ko bazareea letter or app ke mulzman ko bhi bazreea letter bulaia jata hai . or app ki tarf se die gai gawahan ko bhi suna jata hai agar juram sabat hota ho to investigation Officer report buana kr FIR ke liye bhaij deta hai . jiss ke baad FIR darj kar li jati hai



0324-4010279

Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks



Copy of FIR in FIA 
copy of  Prove with application

Receipt of payment as prove
copy of order by special judge central
copy of power of attorny
copy of affidavit with application


For more information Call or Whatsapp 03244010279



























 






















Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation