Wapda ahalkaro ke khalaf kese karwai ki jai.

Wapda mulazmeen ke khalaf karwai


                        wapda ke khalf kahan per shakayat darj karwai jain or aksar dekhne main or sunnene main yeh baat aati hai ke agar aap ne nia meter lagwana hu tu wo app se 20000 rupees ka mutalba karian ge or agar aap nahi dete tu aap ka meter nahi lagain ge balke mamle ko latkai rakhain ge or yeh ke meter nahi aa rahe or jab aap raqam de dain ge tu foran aap ka meter lag jai ga .
issi tarah hi bijli agar kisi ki kharab hu jai tu yeh log aap ke chakar lagwate rhain ge ke mulazmeen kaheen or bijli theek karne gai hoe hain or wo aiine ge tu bhaij dain ge or jab un ko dhondo tu wo hotel per baith kar chai pee rahe hote hain office k pass hi or office wale batain ge ke wo kahian bijli theek karne gai hoe hain or agar aap un ko pese nahi dete tu aap ka kam latkai rakhain ge or agar aap un ko raqam ki peshkash karte hain tu foran kam ki hami bhar lain ge .yeh bhi corruption ka aik tareeka hai ke khud rishwat na mango or saail ko itna majboor kar do ke wo khud hi pese dene pr majboor hu jai.
wapda ke iss zulam sitam se najat dilane ke liye prime minister sab ne aik website banai hai jiss per aap apni shikaiat darj karwa sakte hain.

www.mowp.gov.pk

  1. bill ki shakaiat
  2. wapda mulazam ky khalaf shikait
  3. kharab transfarmar change karna
  4. bijli chori
  5. zaid bill
  6. lain main kharabi
  7. new meter
  8. kam voltage
  9. mutfaraq
  10. nai connection ka bill late
  11. istallation of new transfarmer
  12. bill ka na ana
  13. kharab meter ki tabdeeli
  14. bar bar ki triping
  15. bghir schedule loadsheding
  16. bijli bachane ke iqdamat ki khalaf warzi
app main se jis kisi ka bhi mala hu wo inn ko rishwat na de or iss website per shikayat darj karwai www.mowp.gov.pkwazarat pani wa biji
dosto yeh tu tha online shikaiat darj karwane ka tareeka . or agar aap ka kam online k tareeka se nahi hu raha tu iss ka aik tareeka or bhi hai 
Through Writ petition (High Court)
                                                        agar aap ka koi aisa kam hai ju ke nahi hu raha tu aap ko written application dena hu gi concern officer ko or us per dairy number lagwa kar aik copy apne pass mahfooz kar lain  or agar us ke bawajood aap ki application per karwai nahi hoti tu aap wohi application laga kar high court main writ dair kar sakte hain .




For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights.we will answer your every question,so we need to your help to achieve our goal . plz tell people about this blog and subscribe our you tube channel and follow us at the end of this post .

 www.mowp.gov.pk

Our Popular Posts
Court Marriage ka Procedure in Pakistan













































 
























Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation