Social Security court cases | How do I get out of a Social Security notice for overpayment | Social Security law in Pakistan | Courts Private mulazmeen ki registration ka case




Social security law



Today we will talk about Social security courts and procedure . social security aik adara hai ju ke private mulazmeen jo k kisi bhi adare ke hun un ko  social security main register karta hai or un ka social security ka card banta hai or jiss main un ko medical milta hai . 

or chution ke raqam milti hai or iss k ilawa bhi kafi benefits hain .  jo bhi private shop 3 ya 3 se ziada mulazam rakhti hai un pr in ki registration karwana faraz hai . 

or jo Employer apne employees ko register nahi karwate tu social security un ko notice bhaijti hai un pr claim karti hai key app ke pass iss qadar mulazam hain or app ne inn ko falan date se employee rakha hoa hai or in ko register nahi karwaia .or huge amount  app k zima wajab ul ada hai app wo pay kar dain warna hum app ke khalaf qanuni chara jui karain ge .
iss tamam mamle ko ju qanoon control karta hai wo 


THE PROVINCIAL EMPLOYEES’ SOCIAL SECURITY ORDINANCE, 1965 


 so mutalqa time ke andar agar wo employer raqam ada nahi karta tu iss ke khalaf  social security file bana kr magistrate social security ke pass case dair kr dete hain 

Recovery ka procedure social security magistrate case ane ke baad mutalqa employer ko notice jaari karta hai or raqam ada karne ka mutalba karta hai .agar raqam ada na hu tu magistrate us ke warrant bhi jari krsakta hai or wo case us waqat tak social security ke magistrate ke pass laga rehta hai jab tak recovery na hu jai

How can avoid Recovery


yeh recovery some time legal or some time social security illegal bhi demand karta hai or agar app samjhte hain ya app iss recovery se jaan charwana chahte hain tu us key liye app ko civil dawa dair karna hu ga ju key commissioner key pass file hu ga

Documents jin ki zaroorat hu gi jawab dene ke liye

notice ju magistrate ki taraf se aya hai wo le kar app ko magistrate ke pass ke pass through lawyer pesh hona pare ga app khud bhi pesh hu sakte hain magar qanooni complication private person nahi samjh sakta jiss ki wajah se app ko recovery per majboor kia ja sakta hai so bazareea council hi pesh hona behtar hai
All supporting documents ju app ke moqaf ko support karte hain sath lagana lazmi hain
Majistrate key pass recovery procedure shroo hone k foran baad app ko social security magistrate key pass dawa dair  karna pare ga other wise magistrate court se app key warrant jari hu jain ge or app ka dawa karne ka haq khatam hu jai ga


Mazeed maloomat key liye call karain  0092-324-4010279 Whats app available



Our Popular Posts



























 






















Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading

Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Punishment for violation of section 144 crpc | dafa 144 in Pakistan means,kia hai , khalaf warzi per kitni punishment hu gi،kab or kese lagai ja ja sakti hai.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation