9C CNSA bail case laws | Munshiat , charas , Heroin ka case (parcha) muqadma

 section 9c CNSA munshiat ka case  , yeh humare mulak main aik buhat bara almia hai k yahn pr police iss case main buhat rupe rishwat leti hai or din dugni or raat chogni kamai karti hai .main ne apni practise k doran observe kia hai k yahan per 60 ya 70 % cases jhootey banaye jate hain . Police jab bhi kisi munshiat faroosh ko pakrti hai us se bhari riswat ki demand karti hai . jo ke munshiat farosh aaram se pori kr deta hai kionke munshiat farosh aik mafia ka hisa hota hai or wo mafia un ko raqam de kar or safarash k zareea se charwa leta hai . aab police un se charas or dusri munshiat cheen leti hai .or un ko bhari rishwat k ewaz choor deti hai . or apni jaan safe karne  k liye koi chota mota case( parcha) bhi baaz dafa de deti hai . or  apni jaibain garam karne k sath . pakri hoi munshiat ki malak bhi ban jati hai .
abb iss main baaz ooqat jab Police kisi nashai ko jo k peta hai . baaz ooqat kuch nashai pese na hone ki wajah se apne nashe k aadi doston ko nasha la kar dete hain or beech main se apna nasha bhi poora karte hain . jab koi aisa banda police ke hathe charh jaata hai tu police us se bhi bhari rishwat ki demand karti hai . jo k bechne wala nahi hota or police ki demand pori nahi kr sakta . or us k ghar wale bhi ghareeb hone ki wajh se raqam ada nahi kr sakte , humari buhadar police chand din un ko black mail karne ki baad un pr 1300 garam  ya 1500 tak bhi daal kr parcha de deti hai kionke 1000 garam tak case 9B main fall karta hai or zamanat jaldi hu jati hai .1100 1200 gram ka case bhi border line main aa jata hai or bail mil jaati hai . magar humari jiali police 1300 se ooper charas dalti hai k mulzam ki bail na hu . umeed hai k humari govt inn muashre ki kali bheron k khalaf bhi koi qanoon banai gi .
abb Police  k pass pakri hoi munshiat thane main mojod hoti hai jo k wo apne agents k through sale bhi karti hai . or agar koi qeemat de or kahe mere falan mulzam pr itni munshiat daal do main do chaar laakh de don  ga ,  banda bahar nahi aana chahye tu yeh bhi kar leti hai . main ne yeh baatain iss liye likhi hain k logon ko or hakoomat ko inn k hathkandon k baare main ilam hu .or jhooti fir ki same story hoti hai  yeh k police ko mukhbar khas se information milti hai or wo naqa laga kr pakr lete hain ya wese hi jama talashi li mashkok jaan kr tu dain hath main pakre hoe shapar se baramd kr lete hain .zail main aik FIR ko copy di gai hai . taake logon ki rahnamai hu sake.Punishments of 9c CNSA yeh saza ka maqdar ke tanasab se makamal chart hai.


                                             
                                 
FIR of 9C CNSA

Bachao ka tareeka 

aab hum aate hain k iss se bachao ka tareeka kia hai . dosto iss se bachao tu mumkan hai yeh ke jese hi app se raqam ki demand ki jaye tu app ka faraz hai k un se foran haami bharain or time lain or police walon ko itmad main lene k baa
  1.  foran session court se balif  dalwa dain bari razdari k saath 
  2. CCPO ko application apne ghar walon k zaree dain
  3. mutalqa sp ko application dain
  4. Police walon ko us waqat tak baato main lagai rakhain jab tak  un k khalaf karwai na hu jai
  5. agar karwai k shuroo main ya kisi moqa pr police wale dabao main aa kr compromise karain tu sulah na karain jo k humare log karte nahi or apni jaan choot jane k baad un k khalalf nahi jaate jis ki wajah se wo bhi apni harkton se baaz nahi aate Punishments of 9c CNSA

After FIR 


agar khuda nakhasta FIR hu jai tu phir kia karna chahiye . phir humara bhaio bheno ko mashwara hai k phir aap sabar or hosle se kaam lain . kionke  1300 gram ya ziada ki bail time le gi koi bhi court unless koi police walon ne koi bari ghalti na ki hu procedure main jaldi nahi hu gi or iss main time lage ga . so jaldi karne k chakar main apna rupia zaia na karain abb app ka kam aram se hona hai

Bail kab apply karni hai

buhat se logon ko maloom nahi hota k iss ki bail  kab apply karni hai . wajah yeh k qanoon se nawaqfiat bail apply karne se pehle mashwara kr lain acche lawyers se kia bail abhi hu bhi sakti hai k  nahi . or us waqat bail apply karain jab bail hone k chances hon warna app ka chance bail karwane ka zaia hu jai ga or agar chance zaia hu gia or high court ne bail accept na ki  tu phir dubara bari mushkal hu jati hai or phir app ko trial ka wail karna parta hai .Punishments of 9c CNSA

mazeed maloomat k liye call karain 0092-324-4010279 whatsapp available




Aik hasas mozo jiss pr koi baat nahi karta. or shaid meri iss koshish se or log bhi jag jain or iss mozo pr baat shooro hu jai or iss masle ka hal nikal aaye.

Kuch arsa pehle MLN  k Rana sana ullah pr bhi 9 c ka parcha hoa. or kafi bari maqdar main un per munshiat dali gai. magar wo apna siasi asar o rasookh istamal karne or Lahore k behtreen wukla ki khidmat hasil kar k bahar aane main kamyab tu hu gai magar  kai mah lag gai .

Un ko tu bail mil gai magar kia wo banda ju aik aam admi hai wo iss paye ka asar o rasokh rakhta hai.wo Ghareeb ka bacha jiss se police lakhon rishwat mangti hai wo rupee kaha se lai.

 Superior Courts k faisle qanoon ban jate hain.Magar 9C abhi bhi aise faislo ki muntazar hai jiss se sach or jhoot main faraq wazia hu sake.Meri dua hai k Humari Superior Courts ki taraf se kuch aise faisle aain k jiss se Beguna logo ko insaf mahia aa sake.or gunah garon ko jahanam wasal kia ja sake.
yeh baat roz roshan ki tarh wazia hai k police rishwat le kar begunah logo ko phnasa deti hai. or raqam le kar 9C ke mafia ko chor deti hai or un se pakri gai munshiat kisi ghareeb ki zindagi barbad kar deti hai. kia kabhi kisi police wale ko yeh kam karne pr saza mili. 

KIa kabhi purani Hakoomtaon ne iss bat pr tawajah di k private gwah lazmi karar diye jain jab 9 C ka parcha dia jai. agar yeh nahi kar sakte tu kia koi police wala us waqua ki video nahi bana sakta.jiss se doodh ka doodh or pani ka pani hu jai.

Hum ko bht si calls or msgs aate hain k mera aklota beta police walo ne 9C main phansa dia or abb wo kese bahar aai ga tu humare pass  sawai un ko dalasa dene k koi hal nahi hota . kionke yeh qanoon bana hi istarah se hai ke iss main sabar k ilawa chara nahi rehta ghareeb k liye . 

Kia humare mulak main Police kio aala kar ban jati hai jhoote cases ka or jhootien gwahia deti hain or jhoot ko sach sabat karne main lag jati hai. kia aap logo ne Allah ki aadalat main pesh nahi hona or kia jin kikhatar aap jhooti shahdat dete hain kia wo aap ko akhrat main saza se bacha pain ge .Kia agar aap log Iss mamle main apna faraz sahi tareeke se injam du tu tumhara zameer khush nahi hu ga. Kia aap ka mulak nahi hai. kia aap mulak main insaf nahi chahte.
  
Kia humari hakoomat Police ko seedha karne ka naara laga kar iqtadar main nahi aai. ab us ko sadio se jarri yeh zulam nazar nahi aata. kia yeh qanoon ko saf o shafaf banana firshton ne karna hai .

Case laws on bail 9c


PLJ 2018 SC 812 is m 1350 gram charas ke bail hui hy  PLJ 2018 SC 812 is m 1350 gram charas ke bail hui hy


PLJ 2019 Cr.C 664
SAEED AHMAD Khosa\

Border line case sbail granted

YLR 874 2017

YLR 1282 2017

Pcrlj  831 2016    1500 grams

pcrlj 1315  2016






Agar orat se munshiat baramad hoi hu tu lady constable ko gwah banana lazmi hai.
2016-ylr1362


9c bail decisons


PLJ 2024 Cr.C. (Note) 52[Lahore High Court, Multan Bench]
Present: Muhammad Amjad Rafiq, J.
ASHIR NISAR--Petitioner
versus
STATE and another--Respondents
Crl. Misc. No. 8185-B of 2022, decided on 8.12.2022.
Criminal Procedure Code, 1898 (V of 1898)--
----S. 497--Control of Narcotic Substances Act, (XXV of 1997), S. 9(c)--Sentencing zone--Recovery of charass--Post arrest bail--Grant of--The sentencing zone under the amended law provides maximum sentence 14 years and not less. Than 09 years but the ceiling so provided extends from 1000 grams to 4999 grams of charas-The quantity recovered from the petitioner does not attract prohibitory clause of Section 497 of Cr.P.C. because for the purpose of bail, lesser sentence is to be kept in mind in such like cases which could easily be registered out of respite on grudge of police-Petitioner does not maintain the criminal history--It does not the quantity but circumstances as reflected above make the case of the petitioner that of further inquiry--Petitioner is admitted post arrest bail.
                                                                        [Para 3, 5 & 6] A, B & C
2012 SCMR 573; 2020 PCr.LJ 657; 2020 MLD 59; 2020 PCr.LJ 31; 2019 PCr.LJ 472; 2017 YLR 609; 2014 PCr.LJ 1464 ref.
Khawaja Qaisar Butt, Advocate for Petitioner.
Mr . Khalid Ibn-e-Aziz, Special Prosecutor for ANF.
Date of hearing: 8.12.2022.
Order
Through this petition, petitioner seeks post arrest bail in case FIR No. 39 dated 07.10.2022 registered under Section 9(c) of The Control of Narcotic Substances Act, 1997 at Police Station ANF, District Multan facing the allegation of recovery of 1500 grams charas.
2. Heard. Record perused.
3. The sentencing zone under the amended law provides maximum sentence 14 years not less than 09 years but the ceiling so provided extends from 1000 grams to 4999 grams of charas On the basis of principle of proportionality, the quantity recovered from the petitioner does not attract prohibitory clause of Section 497, Cr.PC because for the purpose of bail, lesser sentence is to be kept in mind in such like cases which could easily be registered out of respite on grudge of police. Considering lesser sentence for the purpose of bail in an offence entailing alternate sentences is the principle explained by the Hon’ble Supreme Court of Pakistan in plethora of judgments; some of which are referred as follows:
“Jamal-ud-Din alias Zubair Khan versus The State (2012 SCMR 573). Court while hearing petition for bail was not to keep in view the maximum sentence provided by statute but the one which was likely to be entailed in the facts and circumstances of the case.
“Arshad Nadeem and 2 others versus The State and another” [2020 P.Cr.LJ 657 (Lahore Multan Bench)]. Needless to mention here that for the limited purposes of bail, the lesser punishment provided for the offence is to be considered, which in the instant case is three years.
“Rizwan versus The State [2020 MLD 59 (Balochistan)]. Even it is by now well settled that where two quantum of sentences are provided in the statute, for the purpose of bail, the lesser shall be considered, therefore, in the instant case the question of quantum of sentence would also fall within the purview of further inquiry.
“Muhammad Akram versus The State” [2020 P.Cr.LJ 31 (Sindh)]. When statute provides two punishments, lesser punishment is to be considered at bail stage.
“Muhammad Hayhat Khan versus The State and another” 2019 PCr.LJ 472 (Islamabad)]. Lesser punishment was to be taken into account for the purpose of bail.
“Muhammad Amin versus The State [2017 YLR 609 (Sindh)]. Court, while examining the question of bail, had to consider the minimum aspect of the sentence provided in the Schedule of Cr.PC.
“Mustafa Ali versus The State” [2014 PCr.LJ 1464 (Balochistan)]. Bail has to be granted to the accused/applicant on the principle that when a statute provides two punishments then for the purpose of bail, the lesser one is considered.
4. In the case in hand, the petitioner was charged for having possession of 1500 grams of Charas, As referred in above para-3 the quantum of sentence for charas weighing 1000 upto 4999 grams would be the same and in the light of principles settled by the apex Court in above cited judgments, lesser sentence would be considered which is nine years.
5. Petitioner does not maintain criminal history, According to the contents of FIR, petitioner was apprehended by the police at 07:45 p.m. and after completion of all the processes, the complaint was finally drafted at 09:00p.m. but FIR stood registered at 09:30 p.m. despite the fact that police station was at a distance of 10 Kilometers from the place of recovery. Such paddings give a note of plantation of recovery upon the petitioner. The petitioner is behind the bars since 07.10.2022 and his continuous detention for indefinite period would be unfair, in particular, when conclusion of trial is near future is not in sight.
6. It is not the quantity but circumstances as reflected above make the case of the petitioner that of further inquiry into his guilt within the ambit of sub-section (2) of Section 497, Cr.PC. The Hon’ble Supreme Court of Pakistan in the case reported as “Jahanzeb and Others versus State through A.G. Khyber Pakhtunkhwa Peshawar and another” (2021 SCMR 63), with reference to Section 497(2) Cr.PC, has held as under:-
“Perusal of the aforesaid provision reveals the intent of the legislature disclosing pre-condition to establish the word “guilt” against whom accusation is levelled has to be established on the basis of reasonable ground, however, if there exists any possibility to have a second view of the material available on the record then the case advanced against whom allegation is levelled is entitled for the relief in the spirit of Section 497(2), Cr.P.C.”
7. For what has been discussed above, this petition is allowed and the petitioner is admitted to bail subject to furnishing bail bond in the sum of Rs. 1,00,000/-with one surety in the like amount to the satisfaction of learned trial Court.
(K.Q.B.)          Petition allowed

our popular Posts






































































 























 Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading




















Comments

  1. Really bhai apka likha huwa note buhat help full ha jo k ghareeb or na waqif logo k liye buhat mufeed sabit ho ga AHLLAH pak apko es agahe ka ajar ata farmaye Ameeen.

    ReplyDelete
  2. Sir Jistra Apne 9c Ke Barne Main Likha Na Wase He Main Bhi Likhna Cha Tha Hu ... Khas Pakistan Ke Jageges Ko Wo Bhi 9c Ke Barne Main ..

    ReplyDelete
  3. Kia yahan koi help kar sakta humara yahan ghr k sath 1 anti rehti in pa jhuta ilzam laga kar 9c ka parcha kar diya bachiyan both choti h 12 014 saal ki 1 ha 18 saal ki but shadi hoe h uska husband un mamlu m nhi parna daita susral waly nhi krna da rhy usko kuxh... Or fir b jhuti h un ko ghr sa pakra gya h or likha road ka h ... Sab ko lagta h un k mamu ka kam or ab bachiyan b save nhi h

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai aap ne koi jaga ka zikar nahi kia . call me or whatsaap 0092-324-4010279

      Delete
  4. Ap ky iss kalam sy iss qanoni maswary say kafi madad milti gret man its great job

    ReplyDelete
  5. Aslamoalikum sir kasy hain
    Aap mashwara kerna ha k 9c main Bail to hui ha laken 2 sal sy date per ni ja saky abi waront ko kasy mansookh kra sakty hain.Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. zmanat cancel hu gai hai. lihaza ab zamanat dubara karwani pare ge.

      Delete
  6. Plz sir mari help krain meray bhai ko 17june 2020 ko ghar sae pakar k lay gaye hain 10 police waly jin main 5 bina uniform k thay ghar main bina lady staff k dakhil hoye aur pora ghar ulat pulat kr k tlashi li magar kuch na nikla tu meray bhai ko pakar k lay gay 17 june rat 9 bjye lay k gaye aur 19 june ko parcha day diya 1360 gram chars ka hum es qabil nhi k unki demand pori kr patay ab hamain kuch samjh nhi a raha plz sir help krain hamari i m from Hafizabad

    ReplyDelete
    Replies
    1. G aap se call pr bapat hu gai thi ab iss ka hal yehi hai k zamanat hu gi or ab kuch nahi hu sakta app kuch kar sakte the tu parcha hone se pehle

      Delete
  7. Kia koi madad kr skta h. Mary husband pr jhuta ilzam lga kr 9c me pkra gia h. Us pr jhut sy 2100 grams daal de gy h or susral waly mjy bahir nhi nikony daity Mary chotay chotay bachy h. Jbky me wakeelo ke fees afford nhi kr skti

    ReplyDelete
    Replies
    1. Parcha hone ke baad zamanat hi hall hai or ya phir trial jaldi chala kar case khatam kar dia jai.Lahore se hain kia aap ?

      Delete
  8. 15kg cars cort mallir aur aik fir 23a. Waqe ke vvvedio h gar se pkra 15kg pkra geya35 kg dosra ly kr frar begona h

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar aap ke pass video hai tu aap ki favour main case aa jai ga or bail hu jai gi or trile main bhi madad mile gi. or inshallah bari hu jai ga

      Delete
  9. Mery bhai k sath bi is tra hi hua hai phansaya gya hai

    ReplyDelete
  10. 1220 gram ha heroine iss ki bail ho ge ya man

    ReplyDelete
  11. dear sir myra sala jo k aik karkhany m kaam kr reha tha ko police jo k us area sy belong bhi nhi krti thi din dehary pkr kr ly gaiii oor raat giay 9c 1265 gm charas ka faik case bna dia... zulm tu ye hy k tamam gawahoooon k beyaanooo m contradiction k bawjoood judge saaab ny 4.5 yrs ri dy di... wo looog buhut ghareeeb hain... plz help

    ReplyDelete
  12. Mere request ye hai kay aise logon ke leye koi qadam kyu nahi uthata main bhi is procec say guzar rahe hu sab jhoot ki bina par case banatay hai ye adalat kis leye hai koi sahi faisala kyu nahi karta muslaman ke bachay nahi hain kia ye sab jo ye kam kar rahe hain wo hamari nazron kay samnay hain aur beqasoor jo mehenat kar kay apna ghar ke leye mazdoori kar rahe hain unhen police uthate hai Allah pak Aise logon ko Dekhe Aur INsaf karay garebon kay sath

    ReplyDelete
    Replies
    1. G blkl thk kaha aap ne. Bas qanoon main or humare system main ju kharabi ha wo hum sab ne mil kar hi thk karni ha apna apna role play kar ke . Allah pak humare hami o nasar hun Aneen

      Delete
  13. sir mara be ASA masl ban tha but allah pak na mere Sono Lia ha

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation