illegal custody Police station main bailiff dalwa kar bandon ko Azad karwana (habeas)

Police station main bailiff dalwa kar bandon ko Azad karwana

How can Release from Illegal Custody 
Dear reader hum ko yeh batate hoe bra dukh hota hai ke Pakistan main police ka kardar buhat kharab hai jiss ki bari wajah humari hokomat hai . hum ne buhat se cases main dakha hai ke police agar munshiat agar kahin se pakrti hai tu foran mulzam se muk muka karti hai . or lakhon main rishwat le kar mulzam ko choor deti hai or jo churse ya heroin un ke hath lagti hai wo apne pass save rakhti hai or jab koi begunah kisi case main pakra jata hai ya koi ba asar admi kisi gharib se badla lena chahta hai or wo police ko bhari rishwat deta hai or police ba asar logon se muk muka kar ke wo munshiat us gharib admi par dal deti hai . hota un hai ke aadmi ko ghar se arrest kia jata hai or police station main le ja kar us se bhari rishwat talb ki jati hai or agar wo rishwat de de tu thik agar na de tu . tu wohi munshiat jo pehle se un ke pass mojod hoti hai wo jhoti story FIR main likh kar wohi munshiat begunah par dal deti hai .
Police ki story  9C ki  FIR main same hi hoti hai ke hum ko Mukhbar e khas (we got spy information ) ne itlah di ke falan admi chars le kar aa raha hai or hum ne naka lagai or mulzam ko girftar ka lia .
Gharib log jo ke Pakistan main 80 percent ya iss se bhi ziada hain we aasani se in logon ke jaal main phans jate hain
or yehi Police jo ke Awam ke pese se Salary leti hai wo hi Police  awam ki khidmat karne ki bajai un ko lotne main masroof hai .
or agar hum Police ki badanwani ki baat karain tu har shube main or har category ki beamani iss shube main mojod hai . or shaid in future main hum koi aisi post likhain jis main hum logon ko in ki bad anwanion ke bare main agah karain  . iss Post main hum logon ko aisa tareeka batain ge jo ke na sirf logon ko balke nai ane wale wukla ke liye bhi aik rahnami kare ga

Bailiff kia hai 

dosto hum main se kai logon ko shaid ilam na hu bailiff ke bare main tu hum bata dete hain ke bailiff  aik court ka ahalkar hota hai . jo ke court  us ko plaintiff ki application per jari kati hai jo ke police station main ja kar un logon ko  azad karwata hai jo ke Illegal custody main hote hain .

Dear friends shaid kuch logon ko yeh bhi maloom na hu ke Illegal custody kia hoti hai illegal custody ko jannen ke liye yeh zaroori hai ke app ko maloom ho ke police ne app ko kis alzam main arrest kia hai
  1. kia app ke khalaf FIR mojod hai
  2. kia kisi ki application per app ko arrest kia gia hai 
  3.  kia app ke khalaf court ne warrant jari kar rakhe hain
Dear app ko yeh jannan zaroori hai ke police kisi bande ko bgair FIR ke girftar nahi kar sakti ya phir Warrant ke .Agar app ko Police arrest karti hai or app ko 24 hours main court main pesh nahi karti tu iss ka matlab yeh hai ke
  1. ya tu app ke khalaf koi FIR nahi hai
  2. ya phir FIR mojod hai magar Roznamche main app ki girftari nahi dali gai hai
kionnke girftari dalne ke baad un ko har haal main court main pesh karna hota hai .
chonke humari police takreeban har case main yah nahi dekhti ke kon kasoor war hai or kon nahi un ki pehli koshish hoti hai ke mulzman se  kitni raqam niklwai ja sakti hai . so wo Girftari dale baghair hee kai dino tak mulzamon ko ghair qanooni harasat main rakhte hain or agar mulzam se bhari rishwat mil jaye tu wo court main pesh kie baghair hi us ko bhaga dete hain or humari hookomat apne baland wa bala dawaon ke ilawa kuch nahi karti
Dear friends ajj main app ko bataon ga ke kese app iss illegal custody se bach sakte hain .
Bailiff ko court se jari karwane ke liye app ko lawyer ki zaroorat pare gi  . magar yeh buhat jald jari karwaia ja sakta hai . agar app subah  se work shuru karain tu  aik do ghanton main hi app bailiff jari karwa sakte hain

Documents  jin ki zaroorat hoti hai Bailiff jari karwane ke liye

  1. Just app ke pass apna id card hu
  2. or app ka mulzaman se jo rishta hai wo plaint main mention karna hai

Precaution Bailiff jari karwane ke liye

  1. Kabhi bhi police station ka name plaint per mention nahi karte 
  2. or bailiff ko bhi app ne police station ke bare main nahi batana ke app ko kiss police station main app ko le kar jana hai
  3. or kisi bhi mulazam ya ghair zaroori fard ko nahi batana hai
In precaution ki bari waja yeh hai ke bailiff ki karwai main agar app ki baat leak ho gai or police station main kisi ne call kar di ke message kar dia ke bailiff aa raha hai tu wo mulzman ko kahin chupa dain ge or bailiff un ko dhond nahi pai ga or app ki sari mehnat par pani phir jai ga
Bailiff  bike per ya riksha par ya kisi bhi sawari par le kar jaia ja sakta hai
.Jiss ke baad bailiff Police station main ja kar roznamcha check kare ga or  app ke mulzaman check kare ga or agar wo illegal custody main hun ge tu un ko chura kar le jai ga or agar un ke khalaf FIR mojod ho gi tu phir un ko Girftari dalni pare gi . or app ki ghair qanooni harasat khatam ho jai gi
or tamam report bana kar court main pesh kar de ga
Mazeed kisi pershani ki soorat main hum se mufat qanooni mashwara hasil karain
0324-4010279
0345-4375944
Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks
case ka title

Plaint jahan per detenue ke naam like jate hain

or yahn par case ki detail darj ki jati hai

Mazeed Maloomat ke liye call karain
0092-324-4010279 whatsapp available

Popular Posts














































 






















Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks




















Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation