Unregistered Hiba (gift) Judgements (case laws)
Hibba (Gift) without registration |
Unregistered Hiba (gift) Judgements (case laws) |
Following Judgement is landmark judgement on hiba(gift)
Iss judgement main bht ziada judgements or case laws ko discuss kia gia hai about hiba.
Brief story
Through iss civil revision ke civil judge ki judgement ko or additional Session judge Bakkar ko challenge kia gia.
Petitioner alleged ke zubani hiba ke through zamin (mutnaza) inn ko hiba ki gai thi marne wale ki taraf se
Or baad main zubani gift ko likha gia tha 2004 main.
Or unho ne intiqal ( warasti) ko bhi challenge kia tha 2005 main marne wale ki wafat ke baad. Ju ke dawa kharaj hu gia jiss ke khalaf appeal file ki gai Additional Session Judge ke pass wo bhi kharaj hu gai. Jiss ke baad petitioner ne yeh civil revision file ki.
Hearing se yeh baat samne aayi. Ke
Zubani hiba hoa tha jiss ke baad hiba ko likha gia. Magar dawa(plaint) main detail ju hiba ke liye zaroori hoti hain wo mention nahi ki gai thien.
Lihaza ju hiba (mutnaza)ko prove kar sakte the wo nahi kar sake.
Exh. P1 main kuch mention nahi kia gia oral gift ke bare main.
Ye ke petitioner beneficiary tha hiba ka jiss ko respondants ne ghalat (jhoota) kaha tha
Petitioner ne 2 gwahan pesh kiye the pw1 or pw3
Taham pw1 ne iqrar kar lia tha jirah main us ko kuch nahi maloom ke kia likha hai hiba main.
Lihaza yeh fail hu gai iss document ko sabat karne main.
Gift deed ki tayri ke waqat petitioner minors the . Lihaza wo competent nahi the lihaza wo incompetent the ingredients pore karne ke liye ju zaroori hote hain hibba ke liye ( ijab o qabool)
Koshish ke bawajood petitioner ke lawyer koi explaination nahi de sake.
Apne dawa ko sach sabat karne ke liye petitioners ko dono hiba ko prove karna tha ke pehle in ko zubani hiba kia gia or iss ke baad deed main convert kia gia.
A lot of judgements quote or kaha gia ke inn faisla jaat main kaha gia ke ye lazmi hai ke beneficiary ko prove karna hota hai positive evidence ke through
- Time
- Day
- Jaga
- Month
- Year
Iss ke baad phir court ne kafi judgements quote kien.
In case laws ko dekhte hoe petitioner ko saabat karna tha oral+ written hiba.magar petitioner ne details about hiba nahi batien ke kese oral hiba hoa or kese or kis jaga per or kis. Ke samne hiba hoa.
Para no 14 mai Court ne batya hai ke hiba ko sabat karne ke liye konsi cheezain lazmi hain
- Proposal of donor
- Acceptness by the donee
- Delivery of possession to the donee
Or mojoda hiba ki deed ke bare main koi detail nahi batai gai ke petitioners jab minors the tu yeh sab ingredients kese poore kiye gai.
Or learned council for petitioners koi ghalti judgement main point out nahi kar sake lihaza
Revision petition dismiss kar di gai.
Yeh landmark judgement main bht sari dosri judgements quote ki gain.
For information call or Whatsapp 0092-324-4010279
Comments
Post a Comment