Translate

10/10/2023

Can a son claim father's property when father is alive . Beta Bap ki zindgi main walid se Hissa (property) mang sakta. Can any Son demand from his father for his share in his father's life




Can a son claim father's property when father is alive ?


In most cases, a child cannot claim a parent's property while the parent is alive unless the parent willingly decides to transfer or gift the property. Property ownership remains with the parent until they choose to make changes through legal processes like a will or gift deed. Legal advice is crucial to understand specific rights and regulations in your jurisdiction.




Dear Readers aaj baat karain ge kia koi beta walid ki zindgi main apna warasti Haq demand kar sakta hai.

Buhat sare log sawal poochte hain tu soocha kio na video Post bana di jai. Take logo ki rahnamai hu sake.

Agar Islami Itbaar se dekha jai tu Allah tala ne warasat main har waras ka haq maqarar kar dia hai. Or Quran Pak main Surat un nisaa main sab ka share warasat main clear kar dia gia hai. 

Jiss ke bawajood log apni zindgi main Koshish karte hain ke property ko apne zindagi main taqseem kar dain . Or aksar dekha hai ke wo taqseem main ghalati karte hain or kisi ko ziada de di kisi ko kam or wo gunah ke murtakab hote hain.

Kionke Allah pak ne insaf ka hukam dia hai. Agar kisi bete ya beti ke sath nainsafi hu gi tu us ka jawab aap ko dena pare ga.





Can any Son demand from his father for his share in his father's life 





Ab. Aa jate hain ke kia koi beta haq claim kar sakta hai father ki life main.

Tu seedha jawab hai ke nahi. Koi bhi olad bap ki zindgi main hissa warasat nahi mang sakte.

Hissa warasat waldain ki wafat ke baad claim kia ja sakta. Un ki zindgi main nahi.

Han bache (minors) apne bap se kharcha mang sakte hain. Pakistani family qanoon ke mutabaq beta bap se 18 years tak or beti shadi tak kharcha le sakte hain or kharcha ka dawa bhi kar sakte hain

Beti bewa hu ya talaq yafta ya le palak beti bhi bap se kharcha demand kar sakti hai or na milne per dawa dair kar sakti hai. Bap beti ka shadi ka kharcha uthane ka bhi paband hai.

Magar aap jaidad main hissa demand nahi kar sakte.

Han agar wo apni marzi se taqseem kar de ya kisi aik ko de de ya bech kar kha jai ya kisi or ke nam kar de tu kar sakta.

Buhat sare log swal karte hain ke humare sath ziadti hoi hai or bap dosri bivi bachu ko sab de raha hai. Ziadti tu hai magar iss ka qanooni hal mojod nahi ke aap kisi malak ko us ki property ya raqam apni marzi se use karne se rook sakain.

Supreme Court ka aik faisla mojod hai jiss main Supreme Court ne Intiqal toor kar betio ko hissa dalwaia tha magar hissa warasat main bap ki wafat ke baad mila tha.

Conclusion.

Conclusion main hum aap ko yehi guide karain ge ke aap apne waldain ke sath acha salook karain taake wo aap ka hissa kisi or ko na dain. Or agar aap ke sath ziadti hoi bhi hai tu aap warasat ki demand ya hiba ko challenge after death of Father karain. Zindgi main aap Court se faida nahi le sakain ge.




For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people of their rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.






























 






















No comments:

Post a Comment

Featured Post

Court marriage karne ka tareeka | court marriage process in Pakistan.

  What is the Court marriage meaning Court marriage typically refers to a legal union between two individuals that takes place in a co...