Beron Mulak (overseas Pakistani ) ke liye nai saholat Ecourt Online mulaqat bachon key sath or online shihadat karwahne ka tareeqa

Dear Reader

Ajj  hum Baat karain ge k beron mulak pakistanio k bare main jo mulak se door hote hain or na siraf apni family k liye rizaq qamate hain balke Pakistan k liye zar mubadla   bhi  kumate hain magar main ne dekha balke observe kia hai ke un ko mulak se door hone ki wajah se un ko buhat sari mushkalat se guzrna parta hai .or main ne buhat sare cases main dekha hai ke un ki property per dosre bhain bhai ya qabza mafi qabza kar lete hain  . or agar un k bache hain or wo bv k pass hain or bv se elehdgi hu chuki hai tu wo sari umar apni olad ko mil nahi sakte . ajj hum bat karatin ge k wo kis tareeke se beron mulak hote hoe bhi apne haqooq hasil kr sakte hain .

E-court k through  app kia faide hasil kar sakte hain


  1. e-court k through app apni shahadat karwa sakte hain
  2. e-court k through app apne bachon se mulaqat kar sakte hain ju ke app ke ghar walon ki custody main nahi hain or app ke spouse ki custody main hain ya kisi or rishtadar ki custody main hain or app ki mulaqat un ke sath namumkan nahi  hai

Procedure

shahadat karwane k liye ya bachon se mulaqat ke liye app mutalqa court jhan per app ka case chal raha hai application dain ge or us per Skype ki id mention karain ge
Application per app reason bhi likhain ge
Application manzoor hone ke baad mutalqa court hi E-court main shahdat qalmband kare gi
mulaqat  nabaliqh  mutalqa balif apni mojodgi main E-court main karwai ga ..
Shahdat qalmband karwati waqat shinakhat k  liye kisi shakhas ka hona lazmi hai
iss ke ilawa 3 adad recordable DVD kamazkam 4 GB shahdat key waqat reader E-court ko jama karwain

Mazeed maloomat key liye call karain 0092-324-4010279 whatsapp available



Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading
copy of court notice
dear reader mazeed maloomat ke liye call karain 0092-324-4010279 whatsapp available as you know we want awareness in people about law so tell about this blog to people and share our post on social media thanks for reading

Mazeed parhain

bachon ka kharcha lena talaq ke baad husband se
court marriage ka procedure in Pakistan












































 






















Comments

  1. It is a great sharing me...I am very much pleased with the contents you have mentioned. I wanted to thank you for this great article
    Overseas Employment Agency in Pakistan

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation