Quashment of FIR meaning , Quashment of FIR meaning in Urdu . Quashment of Fir case laws in Pakistan. Fake FIR khatam karne oa tareeka Quashment of FIR in Pakistan in urdu
Quashment of FIR meaning
Quashment of Fir meaning?
Quashment of Fir ka matlab yeh hota hai ke FiR ko early stage per kharaj karwana . Kuch FIr ju ke jhoot or badneeti ki banyad per daraj karwai jati hain un ko kharaj karwane ko Quashment of FIR kehte hain.
Section apply to Quashment of FIR?
Section 561 crpc .
Court Ju FIR ko quash kar sakti hai?
Quashment of FIR High court kar sakti hai.
Quashment kab File ki ja sakti hai?
Quashment of FIR us waqat File ki ja sakti hai jab ( high court declare as)
- Jabke police ko FIR daraj karne ka koi ikhtayar na hu
- Jab waqiat FIR se koi juram banta na hu
- Jab civil case ko criminal case main tabdil kia gia hu
- Jab mulzam ki saza ka koi imkan na hu.
- (2016-PCRLJ-1144)
Time of filing Quashment
Quashment file ki ja sakti hai challan se
Pehle jab case investigation ke under hota ha or agar chalan pesh hu jai tu phir quashment File nahi ki ja sakti. Chalan pesh hone ke baad hum 249A or 265k ki application trial court mai. De sakte hain.
Case Laws about Quashment of FIR
High court ko ikhtayar hai ke wo FIR ko kaladam qarar de sakti hai lakin aisa shaz o nadar or halat o waqiat ko mad e nazar rakh kar hi kia ja sakta hai.
(2018-pcrlj-392)
Beti ki adam mojodgi main wilda bhi quashment file kar sakti hai.
(2015-PCRLJ-506)
Section 561crpc ka itlaq mahaz exceptional cases main hi hu ga
(2021-pcrlj-527)
Challan file hone ki soorat ma quashment qabal e rawan na hai. Balke trial court main darkhwasat under section 249A/ or 265k crpc file ki jai gi.
(2020-pcrlj-1201)
Quashment of FIR file karne ke liye bail pehle karwana zaroori nahi hai
(Pld 2019-Lahore-380)
There is no bar on power of High court to quash an FIR and it is now always necessary to direct aggrived person to first exhaust remedy available under section 249A crpc.
(PLJ-2000-SC-63)
Quashing of FIR --- Cancellation of cases --- Scope --- Subordinate criminal courts do not have jurisdiction to dilate upon quashing of FIR ; however , under Police Rules , 1934 , on the recommendation of police , FIR is usually cancelled ... (2023 P Cr.LJ 265)
Popular articles
Comments
Post a Comment