Police Station main hone wale aam ziadtian jis se aik aam admi waqif nahi

Misbehave in Police station 

Likhne wale tu bht hain magar sach likhna har kisi ka kam nahi yaha per Police station main insaf lena aam aadmi k bas ka kam nahi.agar main yeh kaho ke makhsos log hi ju rupia kharch karte hain wo insaf khareed sakte hain beja na hu ga.magar phir bhi main kuch tareeke ahal e watan ko sikhana chahte hain ju ke aap ki rahnamai karain ge jab aap ko koi bhi police station main masla darkar hu.

Jab bhi aap police walo ko milain aap ne ghabrana nahi hai. kionke jab aap log ghabrate hain tu us waqat hi in logo ka hosla barh jata hai or yeh aap logo ke sath fraud karne main aasani mehsoos karte hain na hi un ko yeh kahain ke hum ghareeb aadmi hain ya mintain karain. istarah wo samjhte hain ke ye hamare rahm o karam per hain.

zail main main kuch fraud ka zikar karo ga ju kr aksar logo ke sath hu jate hain.

Waqua ke waqat.


waqua ke waqat aap ne foran 15 pr call karni hai . us se bara faida yeh hu ga ke aap ko waqua saabat karne main dishwari na hu gi.or police apni karwai likh kar le jai gi ju ke baad main aap niklwa kar misal ka hisa bhi bana sakte hain.

Application dena


hamesha application written form main dain or koshish karain ke kachehri se ya kisi qanoon ko samjhne wale se ya kisi wakil sab sb se likhwain.kabhi bhi application police se na likhwain warna wo aap ka parche ka shroo se hi bera ghark kar dain ge. or wo iss tarah ki application likhte hain jiss main un ka faida hu or un ko rishwat achi mile or bando ko chahe saza na mile so aap ko application khud se tayyar karwani hu gi.

Dairy Number


Application dene ke baad aap ko diary number zaroor ligwana hota hai warna baad main aap ki application ko manne se inkar bhi kar dain ge. or yeh bhi kaha ja sakta hai ke aap ne koi application nahi di gai.

Agar Fir main Ghalatian hain


agar FIR main police ne rishwat le kar aap ke sath hone wali ziadti ko tor mor kar likh dia hai or aap ka version sahi nahi likha hai tu us ko foran thk karwa lain or usi waqat aala afsran ko application de kar thk karwain warna baad main aap us ka kuch nahi kar sakain ge


9C ka case



Agar Police kisi bande ko girftar karti hai or us per koi parcha nahi hai tu aap yeh intzar na karain ke wo chor de gi us ki itla foran 8787  pr call kar ke dain or citizen portal per bhi itla dain taake agar kal ko aap se chorne ke iwaz pese mangain jai tu aap ke pass prove hu ke in logo ne falan time girftar kia tha or hum ne foran itla IG sab ko di thi .Isi tarah hi dosre Izla main bhi makhsoos numbers per itla de sakte hain.

Jhoota Parcha


aksar dekha gia hai ke koi party through police ya Police khud kisi beguna per parcha de kar us se koi raqam niklwa leti hai ya us ko sulah per majboor karna ya koi or kam karne per majboor karti hai. us ka hal yeh hai ke aap ko agar shuba hu ke mere khalaf koi jhoti fir hone ja rahi hai tu aap apne ghar per na soin or kisi or jaga per soin take aap ko FIR ke baad girftar na kia ja sake or aap ko abori zamanat karwane ka moqa mil jai.

Application main Pesh hona.

Aksar dekha gia hai ke Police sirf pooch guch ke liye kisi ko bulati hai or wahin per dhar leti hai or baad main parcha de deti hai ya tateema bian main namzad kar deti hai so agar aap ko iss baat ka shuba hu tu aap khud na jain balke apne kisi aziz ko bhaijain take aap kisi ghair qanooni hathkando se bach sakain.

IO ya tafteeshi afsar

aksar dekha gia hai ke tafteeshi afsar jab aik party se pese le leta hai tu wo dosri party ki favour karna shroo kar deta hai. us se bachne ke liye aap ko tafteesh change karwani hu gi . tafteesh change karwane ke liye SSP ko Lahore main Qila gujjar singh main bethta hai ko application dain or waha per pesh hu kar apna muda bian karain taake aap ki tafteesh change hu or insaf mil sake

Medical karwana

Aksar dekha gia hai ke aik party ne dosri party per bht zulam kia hota hai or us ko chotain lagi hotin hain or Police wale pese le kar ziadti karne wale ka sath de rahe hote hain us soorat main zakhmi shakhas ka foran medical hona chahiye or agar police wale foran medical na karwain tu aap ko ilaqa magistrate se ijazat le kar karwa lena chahiye . kionke agar aap dair se medical karwain ge tu aap ka parcha kamzor hu jai ga. yeh medical us ke ilawa jin khawateen ka rape hota hai un ke liye bhi foran karwana hota hai kioke agar late karain ge tu phir aap ke jisam maim se swap ke sample lene hote hain 
wo zaia hu jate hain. or case kamzor hu jata hai.

Jhoota Medical

some time dekha gia hai ke koi party jhoota medical banwa leti hai or jis se aik mazboot parcha karwa dia jata hai. us ka hal yeh hai ke aap ko medical ko challange karna hu ga or us ko magistrate ki ijazat se dubara karwana hu ga taake aap ke ooper se wo section khatam hu sakain.

Video Banain

Agar aap ko Police kisi jaga ziadti karti hoi nazar aaye tu aap ka kam hai ke un ki video banain iss cheez ko balai taak rakhte hoe ke ziadti aap ke sath nahi hu rahi kisi or ke sath hu rahi hai. yad rakhain ke yehi ziadti kal ko aap ke sath bhi hu sakti hai.

Bian section 161 crpe

jab bhi Police aap ka bian record kare tu kabhi bhi saada kaghz par angothe na laga kar dain balke bian likhne ke baad us ko parhain or us ke baad us per signature or thumb impression lagain.

Recovery

agar koi recovery police karti hai or aap ko deti hai ke aap wese hi rakh lain apna saaman tu aap wo saman wasool na karain balke us ki spurdari karwain taake recovery record ka hisa ban sake or aap ke mulzam ko saza milne main aasani hu .




For more information call us 0092-324-4010279 Whatsapp Dear readers if u like this post plz comments and follow us. Thanks for reading .as you know our goal is to aware people about there rights and how can get their rights. we will answer every question, so we need your help to achieve our goal. plz tell people about this blog and subscribe to our youtube channel and follow us at the end of this post.



 



























 






















legalhelp1.com


Comments

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation