Affidavit ya bian e halfi | What is the meaning use of affidavit ? بیا ن حلفی



Affidavit ya bian e halfi



What is the Affidavit

An affidavit is a formal written document that includes a declarant's (the person making the affidavit) statement of facts. The document typically begins with a caption that identifies the court, the case number, and the parties involved. The main body of the affidavit contains the sworn statement, detailing the facts relevant to the matter at hand.

The affidavit usually includes:

1. **Introduction:** Identifying the declarant and their relationship to the case.

2. **Statement of Facts:** Clearly presenting the facts relevant to the case or purpose of the affidavit.

3. **Sworn Oath or Affirmation:** A declaration that the information provided is true and accurate, often accompanied by a statement that the declarant is aware of the legal consequences of providing false information.

4. **Notary Public Section:** A space for a notary public to acknowledge the oath or affirmation, confirming the identity of the declarant and witnessing the signature.

It's important to follow the specific legal requirements and formatting guidelines when drafting an affidavit, as these can vary by jurisdiction. Affidavits are commonly used in legal proceedings, but their content and format may be subject to specific rules and regulations depending on the jurisdiction.

                                          
Who makes affidavit?


Affidavit can make anyone or everyone, but the stamp paper will be issue on the name of the person who is taking oath, and signature, thumb impression and verification of oath commissioner is compulsory.

detail main janne k liye video daikhain




dosto yeh aik documents hai jo ke iss ka istamal humari roz maraa ki zindgi main buhat ziada hai or taqreeban har department main iss ki zaroorat parti hai chalye hum dekhte hain yeh kia cheez hai or kahn per iss ka istaamal hota hai or iss ke kia faidey hain

An affidavit  is a written sworn statement of fact voluntarily made by an affiant or deponent under an oath or affirmation administered by a person authorized to do so by law.

 affidavit ya bian e halfi  aik qasam ya half  hai jo ke koi bhi banda  kha sakta hai magar yeh likhi hoi aik qasam ya half hai or yeh qasam app kisi bhi waqat kha sakte hain .  

Bian e halfi ke faiday

  1. yeh app ke liye bare faide  ki cheez hai app kisi bhi sode bazi ke waqat mukhalif se le sakte hain
  2. misal  ke toor per afzal  se app ne koi ajazat leni hai  jese ke afzal ghar ka malak hai or app bijli ka elehda meter lagwana chahtey hain tu app ko affidavit afzal de ga ke us ko koi objection nahi hai
  3. us ke ilawa app kisi se koi raqam choti  len den ke  silsiley main bhi bian halfi le saktey hain
  4. kisi se larai ke baad sulah kartey waqat  affidavit le sakte hain ke wo next kare ga tu yeh jarmana dena ho ga


Affidavit use in court ke andar 


  1. court main iss ka istaamal buhat ziada hai
  2. har dawa karte waqat app ko affidavit  sath lagana parta hai .other wise app case dair nahi ho ga
  3. gwahi dete waqat
  4. Ghair hazri ki maafi lete waqat
  5. kisi documents ke mojood na hone ki soorat main
  6. Gharz kisi bhi reason court app se app ka affidavit mang sakti hai


Court main kin cases main bian e halfi ka istamal hota hai.



Affidavit likha kese jata hai


Affidavit private istamal ke liye 50 rupees ke  stamp paper per likha jata hai  or us ke baad oath commissioner se test or verifacation karwaya jata hai .same usi tarah jese app apne documents verify karwate hai

Yeh yad rakhna hai ke stamp paper usi bande ke id card se jari ho ga jo ke half uthai ga (ke main falan kam karon ga ya nhi karon ga .ya jo bhi masla hu us babt half le ga tu yeh documents kal ko court main shahdat ke tor per bhi pesh ki ja sakti hai ) agar stamp paper kisi dosre  ke id card se jari hoa tu  wo affidavit ki koi ahmiyt na ho gi

 court main affidavit dene ke liye stamp paper per likhna zaroori nahi sirf  oath commissioner se test ho jana court main accept ho jata hai


  1. iss ka sab se bara faida yah hota hai ke iss  ko likhwany wala fard apni zuban se phir nahi sakta
  2. iss ka istaamal ha mehkme main hota hai bank main account khalwate waqat
  3. bijli ke meter lagwaty waqat
  4. gas ka meter
  5. kria dari karte waqat

 mazeed Mufat qanooni mashwara ke liye call karain
0324-4010279
Whatsapp 

Dear readers if u like this post plz comments and follow us . Thanks for reading .and as we want to awareness about law to common people and we want to tell poor people what are their rights and how can they can get their rights , so we need to advertise our blog which is not possible without your coopratiion , plz tell about this blog and share our posts on social media . Thanks

neeche kuch pics dein gain hain ta ke viewers ko samjhne main issani ho


 
affidavit sample


copy of affidavit

Bian e halfi for pension 

Mazeed Maloomat key liye call karain 009-2324-4010279 whats app available .dear readers if you like this post plz follow , comments and share this post on social media thanks for reading

                                           






































































 























Comments

  1. please can u tell me Act of wasiqa navees

    ReplyDelete
  2. http://freehostingsites.weebly.com

    ReplyDelete
  3. Sir agar bewa ne byan halfi dyana ho death grant ke ly to wo kysy lekha jay ga wwbp ko

    ReplyDelete
    Replies
    1. bhai app ka swal clear nahi hai . k kis silsle main dena chahti hai ..

      Delete
    2. Assalamualikum
      Bawa ke janab sa wahid bawa hona ka byan halfi ka petren chaheya tha

      Delete
    3. Title likhna hai

      Bian e halfi

      Bian arzan falan falan dukhtar falan sakan .......adress
      Almuhalfa halfan bian karti hun k mere khawand ki death falan date ko hoi thi or yeh mere bache hain or main halfan bian karti hu k main un ki akeli bewa hu or uno ne mere ilawa kisi se shadi na ki thi or na hi un ki koi bewa hai .

      Almuhalfa

      signature and angotha

      Delete
    4. Thanks for information

      Delete
  4. Postoffice se Mcb bank me pension current acct open karna hy Bian-e-Halfi kia hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Post office se Mcb bank me pension acct transfer Kearny ka Bian-e-Halfi kia hy g

      Delete
    2. bhai hum logon ne aap ke faide ke liye jwab dete hain . main ne aap ko batya ke bian e halfi aik half hai ya qasam hai. aab yeh baat ka hamain kia pata ke wo kis cheez ka half mang rahe hain

      Delete
    3. Can you show how to write a affidivit to open a trading account with a stock broker in Pakistan?

      Delete
  5. Send me plz fiffirent kind affidavat example

    ReplyDelete
  6. Sir hamari flour Mills ha aur maslaha ye ha k ak banda atta ki complain karta ha vedio bana kar k atta jaam ho gia ha 15 pa b call karta ha jab k vedio ma dikhya jany wala atta ka bag per 3 maheny pehly ka ha police byan e halfi mang rahi ha

    ReplyDelete
    Replies
    1. G , thek hai tu de dain bian halfi ke yeh teen mah pehle ka hai .

      Delete
  7. 100 rupes stamp ki value bta dein. Coz jis sy ghar lia WO bol ra ha ky mera koi agrement ni hua is myn signature thumb fake ha..

    To iska hal bta dein hm kcy sbit kren

    ReplyDelete
    Replies
    1. kia swal hai samjh nahi aa raha
      call me 03244010279 whatsapp

      Delete
  8. Thanks Alot Sir For giving USS so helpful Information About Law so kind of you
    Very informative😘😘😘😘😘

    ReplyDelete
  9. Thanks a lot for sharing this valuable information about affidavit
    Jhumka earrings pakistan

    ReplyDelete
  10. Meray khilaf cousin nay gharelo larai par police complaint ki thi lekin phir zabaani wapis lay li. Ab humari sulah ho gayi hai...kiya mei us se thaanay mei request likhwaaon keh woh sab ghalt tha takay mera record clear ho jaaiy...

    ReplyDelete
    Replies
    1. bhai sirf complaint se koi record nahi banta jab tak FIR na hu. sulah hu gai hai tu koi zaroorat nahi thane jane ki warna wo aap se pese mangain ge.

      Delete
  11. sir affidavit me deponent waley area me sign kss k hotey hain

    ReplyDelete
  12. Sir mne apny dost ko pese udhar diye thy mgr ab wo nh d rha wo keh rha hai mne d diye hai us n qasam bhi khali hai ab mere pas koi proof nh hai na mne stamp bnwaya tha is ka koi Hal hai ke mujhe pese wapis mil jay

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aoa
      Police station main application du sara matter batao or un ko kuch raqam de kar masla hal karw lu. best of luck

      Delete
    2. Aoa dear sir mujhy manager state life ko application likhni Hy k mere shohar ki death hogai Hy lehaza wo unki policy k pese jald az jald mujhy Dy den is k liye mujhy karna chahyie

      Delete
    3. Aoa state life ke bare main aap un ke head office se rabta karain ya un ke official website se maloomat hasil karain

      Delete
  13. Assalam waleikum
    Sir
    Mere walid saab ka 7 month pehle intikal hua hai aur hum 5 behne aur 2 bhai hai )(aur humari dosri walda se 3 betia hai ab masla yeh hai ke dosri walda ne walid ki taraf se stamp paper show kia hai walid ne sab uske naam likha hai aur witness mein dosri walda ke bhaiyo ka naam hai ab is ka hal batade

    ReplyDelete
    Replies
    1. jaidad ka qabza kis ke pass hai ? or istam kia hibba ka hai? or kia wo istam register hai sub registerar ke pass?

      Delete
  14. AOA sir menay 2014 ma aik company k c.e.o k kehny per apny halka e ahbab k zariay unko business krway Jo k ta hal wo kr rhy hn us time pay unho ny mjy yeh kam krny pay 10% total business ka share dia tha tha Jo k kch he time bad business shuru hoty he mjy side pay kr dia tha lehaza us time jin ko ma ny into krwaya tha ab wo mery haq me bayan e halfi dina chahty hen ta k ma apny haq ke bat un sy kr sakon us wqt es deal ko likha nhi gia tha ab yeh bayan e gawahi ksy likha Jay k qanoni acceptable ho?

    ReplyDelete
    Replies
    1. bian e halfi same he hota hai ooper example bhi lagi hoi hain yeh ke man mahalaf halfan bian karta hu ke yeh yeh bat falan falan tareekh ko humre samene hoi thi or abb wo inkari hai ju bhe detail dalna chahain dal kar neeche almuhalaf likh ker signature karwa lene hain or istam usi ke nam per jari karwana hai ju bian de ga

      Delete
  15. Bian e Halfi or Tehsil dar k name application sample chahiye warasti intakal k ly ptwari ko deni hy.

    ReplyDelete
  16. AOA sir
    Sir tehsil municipal officer ko notice dene ka tareka bata de ager wo kisi chez k bare me apko notice deta hai jo os k juriisdictiin me ho ya na ho likan wo sirf mehdood logo ko notice de r sub ko na de please help
    Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jinab aap APNI had tak application dain agar aap k sath ziadti hoi hai baqi sab ko chorai. UN ka Kam hai kis ko notice Dena hai ya NAHI Dena. Agar AAP ki sunwai nahi karte wo TU phir aap writ main ja sakte Hain high court

      Delete
  17. Aoa Sir M ny 50 waly stam krwa k kisi sy pesy udhar liay thy m n wo wapas krdiay hn lekin mery pas koi proof ni h ab wo dhamka raha h k pesy do no to case krdu ga is k mutaliq kya ho skta h plz ans soon

    ReplyDelete
    Replies
    1. wa salam jinab aap ne pese wapis kar diye the tu aap ko stamp bhi wapis lene chahye the ab gwahan or ilaqa muazzeen ke through apne istapm wapis lo warna aap ke liye mushkal paida hu sakti

      Delete
  18. Amazing post you have given.

    For website contract lawyer you can contact here:
    Website Development Contract

    ReplyDelete
  19. hello how are you?
    mujhe 406 amanat main khayanat ki application likh kr dein shukria

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Property ki taqseem ,Warasat main warson ka hisa

Bachon Ka Kharcha Lena After separation | bachon ka kharcha after divorce | How much child maintenance should a father pay in Pakistan? Case laws about maintenance case.

Bachon ki custody of minors after divorce or separation